
Rasoolullah ﷺ ne farmaya
Allah ke Nazdeek Zul-hijjah (zul hajj) ke shuru ke 10 din mein kiye jane wale Aamal aur dino ke nazdeek zyada Mehboob (pasandeeda) hain.
Tirmizi 757
Note:- Ye din Bakra Eid se pehle Wale 10 din hain. Kiyunki bakra eid chand ki 10 Tareekh ko manai jati hai.


In dino mein kiye jane’ wale Aamal (Zul Hajj)
*Roza rakhna
*Haij aur Umrah karna
*Qurbani karna
*Takbeerat padhna
*Zikr karna
*Apne Gunahon ki Maafi mangna
ROZA
Zul-hijah ki 1 tareekh se 9 tak Roza rakhna Sunnat hai.
Aur khaas tor par 9 tareekh ka roza bhi rakhna chahiye jo youm e Arafat ka roza bhi kehlata hai. Hadees mein aata hai ki Arafat ke din ka roza Insaan ke ek saal ke pichle aur agle gunah maaf kar deta hai.
(Sahih Muslim 1162)


Hajj – Umrah Aur Qurbani (Zul Hajj)
Hadeeson mein Aata hai ki Hajj, Umrah aur Qurbani is mahine ki sabse behtreen Amaal hain (to jab jis par ye Amal wajib ho jaye karna chahiye) Kis pr farz hai ya nahi iske liye kisi Aalim se ponch lein.
Takbeerat Parhna
Allahu-Akbar, Allahu-Akbar,
laa ilaaha illallah, Allahu-Akbar, Allahu-Akbar,
wa Lillaahil-hamd
Zikr Karna
SUBHANALLAH
ALHAMDULILLAH
ALLAHU AKBAR
LAILAHA ILLALLAH
Ye Tasbeehat padhna sunnat hai shuru ke 10 dino mein ..
Zikr ke liye to aur bhi tasbeeh parh sakte hain koi mana nahi hai…
Astaghfaar, Durood Shareef etc
Aur Apne Gunahon se Tauba karo In dino mein – Zul Hajj
Share it for sadaqa-e-jariyah!
Jazak Allah Khair